tumhaara aks agar mujhse dur niklega
tumhaara aks agar mujhse dur niklega
Zubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
MORE BYZubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
tumhārā aks agar mujh se duur niklegā
to merī aañkh se dariyā zarūr niklegā
bas is liye hī to vo raaz maiñ ne raaz rakhā
mujhe ḳhabar hai ki terā qusūr niklegā
chalā ke siine pe ḳhanjar ye dekh lo tum ḳhud
dukhoñ se qalb merā chūr-chūr niklegā
koī to aa.egā hamdard sun ke merī sadā
koī to apne makāñ se zarūr niklegā
shajar lagā ke 'malik' niim kā vo kahte haiñ
lagā lo shart ki is par khajūr niklegā
tumhaara aks agar mujh se dur niklega
to meri aankh se dariya zarur niklega
bas is liye hi to wo raaz main ne raaz rakha
mujhe KHabar hai ki tera qusur niklega
chala ke sine pe KHanjar ye dekh lo tum KHud
dukhon se qalb mera chur-chur niklega
koi to aaega hamdard sun ke meri sada
koi to apne makan se zarur niklega
shajar laga ke 'malik' nim ka wo kahte hain
laga lo shart ki is par khajur niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.