Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaara dil to hamare subhaw jaisa hai

Ghaus Mohammad Ghausi

tumhaara dil to hamare subhaw jaisa hai

Ghaus Mohammad Ghausi

MORE BYGhaus Mohammad Ghausi

    tumhārā dil to hamāre subhāv jaisā hai

    haTā ke chehre se chehra dikhāo jaisā hai

    vo chūktā nahīñ jis pe daav jaisā hai

    hameñ ḳhabar hai vahāñ rakh-rakhāv jaisā hai

    mujhe dhakel kar us zamīr jaag uThā

    ab us haal bhī tūfāñ meñ naav jaisā hai

    to kyā vo dast-e-mashiyyat shāhkār nahīñ

    purānā yaar hai yaaro nibhāo jaisā hai

    sunahre ḳhvāb dikhā.e na aap dekhe

    hamārā yaar hamāre subhāv jaisā hai

    ubhar rahī haiñ na.e ḳhuun meñ na.ī qadreñ

    ḳhulūs meñ bhī ghumāo phirāv jaisā hai

    ye aur baat ki dam de rahā ho soz-e-darūñ

    bujhā huā vo ba-zāhir alaav jaisā hai

    khulegā ḳhud vo kisī roz misl-e-band-e-qabā

    na chhup sakegā lahū meñ rachāv jaisā hai

    vo us hāl-e-zabūñ us pe ḳhanda-e-be-bāk

    hasīñ samāj ke chehre pe ghaav jaisā hai

    hai apnī piiTh har zaḳhm aa.ina 'ġhausī'

    mire rafīqoñ ko mujh se lagāv jaisā hai

    tumhaara dil to hamare subhaw jaisa hai

    haTa ke chehre se chehra dikhao jaisa hai

    wo chukta hi nahin jis pe daw jaisa hai

    hamein KHabar hai wahan rakh-rakhaw jaisa hai

    mujhe dhakel kar us ka zamir jag uTha

    ab us ka haal bhi tufan mein naw jaisa hai

    to kya wo dast-e-mashiyyat ka shahkar nahin

    purana yar hai yaro nibhao jaisa hai

    sunahre KHwab dikhae na aap hi dekhe

    hamara yar hamare subhaw jaisa hai

    ubhar rahi hain nae KHun mein nai qadren

    KHulus mein bhi ghumao phiraw jaisa hai

    ye aur baat ki dam de raha ho soz-e-darun

    bujha hua wo ba-zahir alaw jaisa hai

    khulega KHud wo kisi roz misl-e-band-e-qaba

    na chhup sakega lahu mein rachaw jaisa hai

    wo us ka haal-e-zabun us pe KHanda-e-be-bak

    hasin samaj ke chehre pe ghaw jaisa hai

    hai apni piTh ka har zaKHm aaina 'ghausi'

    mere rafiqon ko mujh se lagaw jaisa hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now