tumhaara hijr agar zaiche mein Dhal jae
tumhārā hijr agar zā.iche meñ Dhal jaa.e
ye kā.enāt kisī hādse meñ Dhal jaa.e
hamārī aañkh meñ gar niiñd ḳhud-kushī kar le
tumhārā ḳhvāb abhī ratjage meñ Dhal jaa.e
maiñ ek lams kī nudrat pe kaam kar pā.ūñ
agar vo husn kisī zāviye meñ Dhal jaa.e
mirī ġhazal meñ mohabbat kā rang shāmil ho
tumhārā jism agar qāfiye meñ Dhal jaa.e
hai yād-dāsht meñ baaqī to hifz kar 'hāris'
nahīñ ba.iid vo kab maḳhmase meñ Dhal jaa.e
tumhaara hijr agar zaiche mein Dhal jae
ye kaenat kisi hadse mein Dhal jae
hamari aankh mein gar nind KHud-kushi kar le
tumhaara KHwab abhi ratjage mein Dhal jae
main ek lams ki nudrat pe kaam kar paun
agar wo husn kisi zawiye mein Dhal jae
meri ghazal mein mohabbat ka rang shamil ho
tumhaara jism agar qafiye mein Dhal jae
hai yaad-dasht mein baqi to hifz kar 'haaris'
nahin baid wo kab maKHmase mein Dhal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.