tumhaara hijr manate hue ye umr kaTi
tumhārā hijr manāte hue ye umr kaTī
lahū ke diip jalāte hue ye umr kaTī
tumhāre ba.ad zamāne se ye ga.e pīchhe
ghaḌī pe vaqt milāte hue ye umr kaTī
kahā gayā thā mujhe ek din vo aa.egā
phir apnā shahr sajāte hue ye umr kaTī
tirī ḳhushī thī usī meñ so tujh ko chhoḌ diyā
phir apnā aap banāte hue ye umr kaTī
kisī ko tark-e-ta.alluq pe naaz thā 'ahmad'
kisī kī lauT ke aate hue ye umr kaTī
tumhaara hijr manate hue ye umr kaTi
lahu ke dip jalate hue ye umr kaTi
tumhaare baad zamane se ye gae pichhe
ghaDi pe waqt milate hue ye umr kaTi
kaha gaya tha mujhe ek din wo aaega
phir apna shahr sajate hue ye umr kaTi
teri KHushi thi usi mein so tujh ko chhoD diya
phir apna aap banate hue ye umr kaTi
kisi ko tark-e-talluq pe naz tha 'ahmad'
kisi ki lauT ke aate hue ye umr kaTi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.