tumhaara hijr manaya to main akela tha
tumhārā hijr manāyā to maiñ akelā thā
junūñ ne hashr uThāyā to maiñ akelā thā
ye merī apnī duā.eñ jinhoñ ne radd ho kar
gale se mujh ko lagāyā to maiñ akelā thā
dayār-e-ḳhvāb thā tum the tamām duniyā thī
kisī ne aa ke jagāyā to maiñ akelā thā
koī husainī na niklā mire rafīqoñ meñ
diyā bujhā ke jalāyā to maiñ akelā thā
tumhārā haath nahīñ thā vo mauj-e-girya thī
mirī samajh meñ jab aaya to maiñ akelā thā
tumhāre lams kī ḳhushbū fareb niklī hai
badan ne hashr uThāyā to maiñ akelā thā
kahāñ se aa.ī thī āḳhir tirī talab mujh meñ
ḳhudā ne mujh ko banāyā to maiñ akelā thā
tumhaara hijr manaya to main akela tha
junun ne hashr uThaya to main akela tha
ye meri apni duaen jinhon ne radd ho kar
gale se mujh ko lagaya to main akela tha
dayar-e-KHwab tha tum the tamam duniya thi
kisi ne aa ke jagaya to main akela tha
koi husaini na nikla mere rafiqon mein
diya bujha ke jalaya to main akela tha
tumhaara hath nahin tha wo mauj-e-girya thi
meri samajh mein jab aaya to main akela tha
tumhaare lams ki KHushbu fareb nikli hai
badan ne hashr uThaya to main akela tha
kahan se aai thi aaKHir teri talab mujh mein
KHuda ne mujh ko banaya to main akela tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.