tumhaara husn asar ke siwa kuchh aur nahin
tumhaara husn asar ke siwa kuchh aur nahin
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
tumhārā husn asar ke sivā kuchh aur nahīñ
hamārā zauq nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
na kam ho kaash ye soz-e-jigar qayāmat tak
ki ishq soz-e-jigar ke sivā kuchh aur nahīñ
matā.a-e-sīna-e-ahl-e-nazar haiñ chand aañsū
sadaf ke paas guhar ke sivā kuchh aur nahīñ
hamārī sub.h kā aalam tamām-e-dard-o-firāq
tumhārī sub.h sahar ke sivā kuchh aur nahīñ
banā sakegī mohabbat hī jāvedāñ us ko
hayāt raqs-e-sharar ke sivā kuchh aur nahīñ
hudūd-e-dair-o-haram meñ sukūn-e-dil mālūm
yahāñ to naf-o-zarar ke sivā kuchh aur nahīñ
'bashīr' manzil-e-hastī se dil pareshāñ hai
chalo ki chāra safar ke sivā kuchh aur nahīñ
tumhaara husn asar ke siwa kuchh aur nahin
hamara zauq nazar ke siwa kuchh aur nahin
na kam ho kash ye soz-e-jigar qayamat tak
ki ishq soz-e-jigar ke siwa kuchh aur nahin
mataa-e-sina-e-ahl-e-nazar hain chand aansu
sadaf ke pas guhar ke siwa kuchh aur nahin
hamari subh ka aalam tamam-e-dard-o-firaq
tumhaari subh sahar ke siwa kuchh aur nahin
bana sakegi mohabbat hi jawedan us ko
hayat raqs-e-sharar ke siwa kuchh aur nahin
hudud-e-dair-o-haram mein sukun-e-dil malum
yahan to naf-o-zarar ke siwa kuchh aur nahin
'bashir' manzil-e-hasti se dil pareshan hai
chalo ki chaara safar ke siwa kuchh aur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.