tumhaara husn jo mahdud-e-la-makan hota
tumhārā husn jo mahdūd-e-lā-makāñ hotā
surūr bāda-e-ulfat meñ phir kahāñ hotā
bahār meñ jo na andesha-e-ḳhizāñ hotā
to aish-e-daur-e-bahārāñ balā-e-jāñ hotā
vo aa ga.e to khile haiñ jarāhatoñ ke chaman
vagarna dard kā ehsās bhī kahāñ hotā
nigāh-e-lutf ko hotī dil-e-hazīñ kī talāsh
kabhī to yuuñ bhī mohabbat kā imtihāñ hotā
ye jashn-e-sub.h-e-bahārāñ ye zar-nigār kiran
kalī ke dard kā koī to rāz-dāñ hotā
jahāñ jahāñ ġham-e-daurāñ huā zarūr magar
na ho sakā ġham-e-jānāñ ki jāvedāñ hotā
tumhaara husn jo mahdud-e-la-makan hota
surur baada-e-ulfat mein phir kahan hota
bahaar mein jo na andesha-e-KHizan hota
to aish-e-daur-e-bahaaran bala-e-jaan hota
wo aa gae to khile hain jarahaton ke chaman
wagarna dard ka ehsas bhi kahan hota
nigah-e-lutf ko hoti dil-e-hazin ki talash
kabhi to yun bhi mohabbat ka imtihan hota
ye jashn-e-subh-e-bahaaran ye zar-nigar kiran
kali ke dard ka koi to raaz-dan hota
jahan jahan gham-e-dauran hua zarur magar
na ho saka gham-e-jaanan ki jawedan hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.