tumhaara ishq jab se kya hua ai naznin hum ko
tumhaara ishq jab se kya hua ai naznin hum ko
Azeezur Rahman Azeez Pani Pati
MORE BYAzeezur Rahman Azeez Pani Pati
tumhārā ishq jab se kyā huā ai nāznīñ ham ko
pasand aatā nahīñ hai koī bhī ab mah-jabīñ ham ko
kiyā iz.hār jab ham ne ġham-e-furqat to vo bole
tumhāre kahne kā hotā nahīñ hai kuchh yaqīñ ham ko
pas-e-murdan pa-e-pāmāl goristāñ meñ phirte haiñ
nishān-e-turbat-e-ushshāq mil jaa.e kahīñ ham ko
butān-e-sang-dil se kyā ho ummīd-e-vafā ai dil
jahāñ meñ DhūñD baiThe kuchh pata miltā nahīñ ham ko
na jaa.eñ mar ke vo haiñ āshiq-e-jāñbāz ai hamdam
tire kūche meñ gar mil jaa.e thoḌī sī zamīñ ham ko
tire dar par khaḌe haiñ diid ko ham ek muddat se
dikhā de shakl-e-nūrānī ab ai parda-nashīñ ham ko
'azīz'-e-zār gar ishq-e-butāñ meñ ye rahī sūrat
kisī din maar Dālegā dil-e-andoh-gīñ ham ko
tumhaara ishq jab se kya hua ai naznin hum ko
pasand aata nahin hai koi bhi ab mah-jabin hum ko
kiya izhaar jab hum ne gham-e-furqat to wo bole
tumhaare kahne ka hota nahin hai kuchh yaqin hum ko
pas-e-murdan pa-e-pamal goristan mein phirte hain
nishan-e-turbat-e-ushshaq mil jae kahin hum ko
butan-e-sang-dil se kya ho ummid-e-wafa ai dil
jahan mein DhunD baiThe kuchh pata milta nahin hum ko
na jaen mar ke wo hain aashiq-e-jaanbaz ai hamdam
tere kuche mein gar mil jae thoDi si zamin hum ko
tere dar par khaDe hain did ko hum ek muddat se
dikha de shakl-e-nurani ab ai parda-nashin hum ko
'aziz'-e-zar gar ishq-e-butan mein ye rahi surat
kisi din mar Dalega dil-e-andoh-gin hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.