tumhaara qurb-e-mohabbat mein kya zaruri tha
tumhārā qurb-e-mohabbat meñ kyā zarūrī thā
visāl-o-hijr kā ik silsila zarūrī thā
jahāñ se hausla haarā thā vo talātum meñ
safīna us kā vahīñ Dūbnā zarūrī thā
vahīñ pe chehre ko apne chhupā liyā tum ne
numā.ishoñ kā jahāñ aa.ina zarūrī thā
tum us maqām se guzre ho āñdhiyoñ kī tarah
tumheñ Thahar ke jahāñ sochnā zarūrī thā
ġhazal ke naam ko kyoñ daaġh daaġh kar Daalā
ki apnī zaat kā ronā bhī kyā zarūrī thā
tumhaara qurb-e-mohabbat mein kya zaruri tha
visal-o-hijr ka ek silsila zaruri tha
jahan se hausla haara tha wo talatum mein
safina us ka wahin Dubna zaruri tha
wahin pe chehre ko apne chhupa liya tum ne
numaishon ka jahan aaina zaruri tha
tum us maqam se guzre ho aandhiyon ki tarah
tumhein Thahar ke jahan sochna zaruri tha
ghazal ke nam ko kyon dagh dagh kar Dala
ki apni zat ka rona bhi kya zaruri tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.