tumhaare aane se manzar ka yun badal jaana
tumhāre aane se manzar kā yuuñ badal jaanā
na.e qarīne meñ har shai kā ḳhud hī Dhal jaanā
takallufāt sab apnī jagah magar phir bhī
jo dil ko toḌ ke jaanā hī hai to kal jaanā
jo baat maiñ kisī sūrat bhī kah na saktā thā
laboñ se mere usī baat kā phisal jaanā
chamakte din meñ Thaharnā na dil kisī shai par
añdherī raat meñ jugnū se jī bahal jaanā
nikalnā ghar se na bāhar kisī bhī qīmat par
magar jo aa paḌe ḳhud par to sar ke bal jaanā
zarā sā pā ke ishāra laboñ kī jumbish se
bilā sabab dil-e-betāb kā machal jaanā
na jaane kyoñ tujhe sūraj kī fikr hai 'tanhā'
ḳhud apnī aag meñ ishrat hai us kī jal jaanā
tumhaare aane se manzar ka yun badal jaana
nae qarine mein har shai ka KHud hi Dhal jaana
takallufat sab apni jagah magar phir bhi
jo dil ko toD ke jaana hi hai to kal jaana
jo baat main kisi surat bhi kah na sakta tha
labon se mere usi baat ka phisal jaana
chamakte din mein Thaharna na dil kisi shai par
andheri raat mein jugnu se ji bahal jaana
nikalna ghar se na bahar kisi bhi qimat par
magar jo aa paDe KHud par to sar ke bal jaana
zara sa pa ke ishaara labon ki jumbish se
bila sabab dil-e-betab ka machal jaana
na jaane kyon tujhe suraj ki fikr hai 'tanha'
KHud apni aag mein ishrat hai us ki jal jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.