tumhaare aariz-o-lab ki misal ban ke rahe
tumhaare aariz-o-lab ki misal ban ke rahe
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
MORE BYNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
tumhāre āriz-o-lab kī misāl ban ke rahe
havas hai gul ko ki sāhib-jamāl ban ke rahe
ḳhudā hī jaane mohabbat bhī kyā qayāmat hai
samā.e dil meñ to jī kā vabāl ban ke rahe
ye aarzū hai tum ab sāmne bhī aa jaao
bahut dinoñ mire dil meñ ḳhayāl ban ke rahe
tamām umr kaTī hai isī tamanna meñ
ki koī lamha-e-ḳhush māh-o-sāl ban ke rahe
merā nasīb ki jab chain kī ghaḌī aa.e
nigāh-e-dost bhī 'ain-ul-kamāl ban ke rahe
vahī hai baat jo sab ke gale utar jaa.e
vahī suḳhan hai jo sahr-e-hilāl ban ke rahe
baḌā ġharīb-navāz aur kārsāz hai tū
hamārī bigḌī bhī ai zul-jalāl ban ke rahe
tumhaare aariz-o-lab ki misal ban ke rahe
hawas hai gul ko ki sahib-jamal ban ke rahe
KHuda hi jaane mohabbat bhi kya qayamat hai
samae dil mein to ji ka wabaal ban ke rahe
ye aarzu hai tum ab samne bhi aa jao
bahut dinon mere dil mein KHayal ban ke rahe
tamam umr kaTi hai isi tamanna mein
ki koi lamha-e-KHush mah-o-sal ban ke rahe
mera nasib ki jab chain ki ghaDi aae
nigah-e-dost bhi 'ain-ul-kamal ban ke rahe
wahi hai baat jo sab ke gale utar jae
wahi suKHan hai jo sahr-e-hilal ban ke rahe
baDa gharib-nawaz aur karsaz hai tu
hamari bigDi bhi ai zul-jalal ban ke rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.