tumhaare baad aankhon ki gali mein
tumhāre baad āñkhoñ kī galī meñ
koī aatā nahīñ vīrānagī meñ
magar vo zaḳhm mere sī na paayā
bahut mash.hūr hai baḳhiya-garī meñ
jiye jaate usī ke lutf meñ ham
agar ik dukh hī hotā zindagī meñ
sunātā jā rahā thā hijr kā dukh
vo barsoñ baad milne kī ḳhushī meñ
vo alhaḌ aa.ine se jhāñktī hai
bhulā baiThī maiñ jis ko be-dilī meñ
tumheñ dil se kiyā ruḳhsat magar ab
tumhīñ tum ho hamārī shā.erī meñ
barābar chal rahī haiñ donoñ sūiyāñ
hamārā vaqt aa.egā ghaḌī meñ
tumhaare baad aankhon ki gali mein
koi aata nahin viranagi mein
magar wo zaKHm mere si na paya
bahut mashhur hai baKHiya-gari mein
jiye jate usi ke lutf mein hum
agar ek dukh hi hota zindagi mein
sunata ja raha tha hijr ka dukh
wo barson baad milne ki KHushi mein
wo alhaD aaine se jhankti hai
bhula baiThi main jis ko be-dili mein
tumhein dil se kiya ruKHsat magar ab
tumhin tum ho hamari shaeri mein
barabar chal rahi hain donon suiyan
hamara waqt aaega ghaDi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.