tumhaare bin guzara ho raha hai
tumhāre bin guzārā ho rahā hai
magar ye dil tumhārā ho rahā hai
idhar is dil ko aadat ho rahī hai
udhar ham se kinārā ho rahā hai
tujhe har shaḳhs pyārā ho rahā hai
ye dil ko kab gavāra ho rahā hai
ki rah kar duur bhī tujh se mirī jaañ
ḳhasāra to hamārā ho rahā hai
matā-e-jāñ tumhārā ḳhvāb thā jo
mirī āñkhoñ kā taarā ho rahā hai
tumhaare bin guzara ho raha hai
magar ye dil tumhaara ho raha hai
idhar is dil ko aadat ho rahi hai
udhar hum se kinara ho raha hai
tujhe har shaKHs pyara ho raha hai
ye dil ko kab gawara ho raha hai
ki rah kar dur bhi tujh se meri jaan
KHasara to hamara ho raha hai
mata-e-jaan tumhaara KHwab tha jo
meri aankhon ka tara ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.