tumhaare bin guzara ho raha hai
tumhāre bin guzārā ho rahā hai
ḳhasāre par ḳhasāra ho rahā hai
bahut sochā bachā luuñ ḳhud ko lekin
udhar se phir ishāra ho rahā hai
shujā.at to shahādat māñgtī hai
par ab is se kinārā ho rahā hai
mujhe phir ishq ne āvāz dī hai
mujhe to ye dobāra ho rahā hai
adū ke saath us ko dekhtā huuñ
qayāmat kā nazāra ho rahā hai
zarā sī tū ne kyā ulfat dikhā.ī
tirā har ġham gavārā ho rahā hai
makīñ tum jab se is dil meñ huī ho
har ik shai se kinārā ho rahā hai
ye terā lams thā jis kī vajah se
ye merā dil sharāra ho rahā hai
tujhe āvāz de kar thak chukā huuñ
isī ḳhātir ġharāra ho rahā hai
tumhaare bin guzara ho raha hai
KHasare par KHasara ho raha hai
bahut socha bacha lun KHud ko lekin
udhar se phir ishaara ho raha hai
shujaat to shahadat mangti hai
par ab is se kinara ho raha hai
mujhe phir ishq ne aawaz di hai
mujhe to ye dobara ho raha hai
adu ke sath us ko dekhta hun
qayamat ka nazara ho raha hai
zara si tu ne kya ulfat dikhai
tera har gham gawara ho raha hai
makin tum jab se is dil mein hui ho
har ek shai se kinara ho raha hai
ye tera lams tha jis ki wajah se
ye mera dil sharara ho raha hai
tujhe aawaz de kar thak chuka hun
isi KHatir gharara ho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.