tumhaare chaak par ai kuza-gar lagta hai Dar hum ko
tumhāre chaak par ai kūza-gar lagtā hai Dar ham ko
ajab pāgal sī ik parchhā.īñ aatī hai nazar ham ko
ye kaisī baat hai din kī ghaḌī hai aur añdherā hai
chamaktī dhuup meñ sonā paḌā hai rāt-bhar ham ko
hameñ ghar se nikālā thā to ye bhī soch lenā thā
ki sāhab phir kabhī aanā nahīñ hai lauT kar ham ko
abhī thoḌā sā shāyad aur kuchh qissa chukānā hai
abhī kuchh aur thoḌī duur karnā hai safar ham ko
nahīñ ma.alūm kis chakkar meñ ye hālat banā Daalī
liye jaatā hai ik dariyā-e-be-tābī kidhar ham ko
tumhaare chaak par ai kuza-gar lagta hai Dar hum ko
ajab pagal si ek parchhain aati hai nazar hum ko
ye kaisi baat hai din ki ghaDi hai aur andhera hai
chamakti dhup mein sona paDa hai raat-bhar hum ko
hamein ghar se nikala tha to ye bhi soch lena tha
ki sahab phir kabhi aana nahin hai lauT kar hum ko
abhi thoDa sa shayad aur kuchh qissa chukana hai
abhi kuchh aur thoDi dur karna hai safar hum ko
nahin malum kis chakkar mein ye haalat bana Dali
liye jata hai ek dariya-e-be-tabi kidhar hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.