tumhaare chehre pe dhyan aise Tika hua hai
tumhāre chehre pe dhyān aise Tikā huā hai
tamām samtoñ ko ek jānib rakhā huā hai
hare daraḳhtoñ se beleñ kaise lipaT rahī haiñ
zamīn par āsmān kaise jhukā huā hai
vo ek laḌkī jo mar rahī hai hayā ke maare
vo ek laḌkā jo dekhne par tulā huā hai
shab-e-visāl us kā surḳh āñchal musallā kar ke
badan-vazīfe kā vird jaarī rakhā huā hai
tū sirf vahshat ke dam pe dil-dasht meñ nā aanā
ye ism bhī rā.egāñ hai merā paḌhā huā hai
phir us ke ba.ad us ne merī āñkheñ bhī giilī kar diiñ
maiñ pūchh baiThā thā terī āñkhoñ ko kyā huā hai
ye vaqt-e-maġhrib se qabl kā āftāb 'sarmad'
ye us ke hāthoñ meñ kaise kaise lagā huā hai
tumhaare chehre pe dhyan aise Tika hua hai
tamam samton ko ek jaanib rakha hua hai
hare daraKHton se belen kaise lipaT rahi hain
zamin par aasman kaise jhuka hua hai
wo ek laDki jo mar rahi hai haya ke mare
wo ek laDka jo dekhne par tula hua hai
shab-e-visal us ka surKH aanchal musalla kar ke
badan-wazife ka wird jari rakha hua hai
tu sirf wahshat ke dam pe dil-dasht mein na aana
ye ism bhi raegan hai mera paDha hua hai
phir us ke baad us ne meri aankhen bhi gili kar din
main puchh baiTha tha teri aankhon ko kya hua hai
ye waqt-e-maghrib se qabl ka aaftab 'sarmad'
ye us ke hathon mein kaise kaise laga hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.