tumhaare dard ki daulat uThae jate hain
tumhaare dard ki daulat uThae jate hain
Khaleel Husain Balooch
MORE BYKhaleel Husain Balooch
tumhāre dard kī daulat uThā.e jaate haiñ
chale haiñ aise ki jaise parā.e jaate haiñ
sunā hai jab se anal-haq kā mājrā yaaro
atā-e-ishq ko fitna batā.e jaate haiñ
tumhāre hijr ke malbe meñ dab gayā koī
tumhāre rog ye bāteñ banā.e jaate haiñ
jafā ke dosh pe jalte hue charāġh mujhe
sitam kī nok pe jiinā sikhā.e jaate haiñ
barā.e naam jo tum se koī ta.alluq thā
usī ke bojh se kañdhe jhukā.e jaate haiñ
purāne zaḳhm jo kal āgahī kā hāsil the
mire shu.ūr kī miTTī meñ paa.e jaate haiñ
unhī kī aañkh kā rahtā hai tazkira aksar
unhī kī zulf ke qisse sunā.e jaate haiñ
hamāre beach koī tīsrā na aa.egā
ye lafz vo haiñ jo bas bhuul jaa.e jaate haiñ
vo ek shaḳhs asāsa hai qīmtī merā
usī ke naam pe duniyā luTā.e jaate haiñ
kisī kā pyaar tire ġham kured detā hai
tumhāre baad bahut āzmā.e jaate haiñ
ḳhudā 'ḳhalīl' ke sheroñ kī aabrū rakkhe
qalam kī nok pe aañsū bahā.e jaate haiñ
tumhaare dard ki daulat uThae jate hain
chale hain aise ki jaise parae jate hain
suna hai jab se anal-haq ka majra yaro
ata-e-ishq ko fitna batae jate hain
tumhaare hijr ke malbe mein dab gaya koi
tumhaare rog ye baaten banae jate hain
jafa ke dosh pe jalte hue charagh mujhe
sitam ki nok pe jina sikhae jate hain
barae nam jo tum se koi talluq tha
usi ke bojh se kandhe jhukae jate hain
purane zaKHm jo kal aagahi ka hasil the
mere shuur ki miTTi mein pae jate hain
unhi ki aankh ka rahta hai tazkira aksar
unhi ki zulf ke qisse sunae jate hain
hamare beach koi tisra na aaega
ye lafz wo hain jo bas bhul jae jate hain
wo ek shaKHs asasa hai qimti mera
usi ke nam pe duniya luTae jate hain
kisi ka pyar tere gham kured deta hai
tumhaare baad bahut aazmae jate hain
KHuda 'KHalil' ke sheron ki aabru rakkhe
qalam ki nok pe aansu bahae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.