tumhaare dard ko suraj kaha hai
tumhāre dard ko sūraj kahā hai
nayā uslūb ġhazloñ ko diyā hai
sahar ke rāste meñ sar uThā.e
añdheroñ kā vahī parbat khaḌā hai
bahut kuchh jo kitāboñ meñ nahīñ thā
vo chehroñ kī lakīroñ meñ paḌhā hai
koī vahshat-zada zaḳhmī irāda
tabassum ban ke lahrātā rahā hai
batāo naam bhī hai kuchh tumhārā
mirā saaya mujhī se pūchhtā hai
mujhe apnā samajh kar zindagī ne
ḳhud apne aap ko dhokā diyā hai
dar-o-dīvār se har roz 'jāmī'
vahī be-rañg afsāna sunā hai
tumhaare dard ko suraj kaha hai
naya uslub ghazlon ko diya hai
sahar ke raste mein sar uThae
andheron ka wahi parbat khaDa hai
bahut kuchh jo kitabon mein nahin tha
wo chehron ki lakiron mein paDha hai
koi wahshat-zada zaKHmi irada
tabassum ban ke lahraata raha hai
batao nam bhi hai kuchh tumhaara
mera saya mujhi se puchhta hai
mujhe apna samajh kar zindagi ne
KHud apne aap ko dhoka diya hai
dar-o-diwar se har roz 'jami'
wahi be-rang afsana suna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.