tumhaare dekhne ko hasrat-e-hairat-faza Thahri
tumhaare dekhne ko hasrat-e-hairat-faza Thahri
Jameela Khuda Bakhsh
MORE BYJameela Khuda Bakhsh
tumhāre dekhne ko hasrat-e-hairat-fazā Thahrī
dil-e-mahzūñ se niklī dīda-e-bismil meñ aa Thahrī
tasavvur yaar kā thā sāmne aatī qazā kyuuñ kar
sar-e-bālīñ dam-e-murdan ba-shakl-e-dil-rubā Thahrī
jhukāyā bār-e-isyāñ ne hamāre dast-e-hasrat ko
pahuñch kar tā-ba-lab jis kī nadāmat se duā Thahrī
tumhārī jumbish-e-abrū se ghāyal ho ga.e āshiq
ban aa.ī jaan par un kī tumhārī ik adā Thahrī
usī andāz ne vīrāñ kiyā hai mere pahlū ko
dil-e-āshiq ke lene ko in āñkhoñ meñ ziyā Thahrī
sabā ke tez jhoñkoñ ne phirāyā dar-ba-dar us ko
zamīñ par chain se kis dam ye ḳhāk-e-mubtalā Thahrī
jalāyā muskurā kar aur adā se kar diyā murda
kahīñ to ye jafā Thahrī kisī jā par vafā Thahrī
basān-e-ḳhūn-e-dil chaspāñ huī hai tere talvoñ se
hamārī dushman-e-jāñ ab ye shoḳhī-e-ziyā Thahrī
ilāhī kyā mire dilbar ne kholā apne gesū ko
mashām-e-jāñ meñ apne aa ke bū-e-jāñ-fizā Thahrī
tumhārī bad-duā se lutf miltā hai mire dil ko
maiñ āshiq huuñ tumhārā vo mire haq meñ duā Thahrī
farishtoñ ne pukārā ai 'jamīla' jald hāzir ho
ḳhudā ke rū-ba-rū aa kar saf-e-ahl-e-safā Thahrī
tumhaare dekhne ko hasrat-e-hairat-faza Thahri
dil-e-mahzun se nikli dida-e-bismil mein aa Thahri
tasawwur yar ka tha samne aati qaza kyun kar
sar-e-baalin dam-e-murdan ba-shakl-e-dil-ruba Thahri
jhukaya bar-e-isyan ne hamare dast-e-hasrat ko
pahunch kar ta-ba-lab jis ki nadamat se dua Thahri
tumhaari jumbish-e-abru se ghayal ho gae aashiq
ban aai jaan par un ki tumhaari ek ada Thahri
usi andaz ne viran kiya hai mere pahlu ko
dil-e-ashiq ke lene ko in aankhon mein ziya Thahri
saba ke tez jhonkon ne phiraya dar-ba-dar us ko
zamin par chain se kis dam ye KHak-e-mubtala Thahri
jalaya muskura kar aur ada se kar diya murda
kahin to ye jafa Thahri kisi ja par wafa Thahri
basan-e-KHun-e-dil chaspan hui hai tere talwon se
hamari dushman-e-jaan ab ye shoKHi-e-ziya Thahri
ilahi kya mere dilbar ne khola apne gesu ko
masham-e-jaan mein apne aa ke bu-e-jaan-fiza Thahri
tumhaari bad-dua se lutf milta hai mere dil ko
main aashiq hun tumhaara wo mere haq mein dua Thahri
farishton ne pukara ai 'jamila' jald hazir ho
KHuda ke ru-ba-ru aa kar saf-e-ahl-e-safa Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.