tumhaare ghar se pas-e-marg kis ke ghar jata
tumhāre ghar se pas-e-marg kis ke ghar jaatā
batāo aap se jaatā to maiñ kidhar jaatā
nahīñ hai koī bhī sāthī tumhāre mujrim kā
pukār uThte sab a.azā jo maiñ mukar jaatā
ajal ke bhes meñ merī talāsh kar lete
vo aap DhūñD ke ḳhud laate meñ jidhar jaatā
takallufāt-e-mohabbat ne qaid kar rakkhā
har ek samt thī dīvār maiñ kidhar jaatā
kabhī na sāmne aatā zalīl kahlā kar
jo vo bulāte to maiñ apne naam par jaatā
bhalā chhupā.e se chhuptā lahū shahīdoñ kā
ye ḳhuun bol hī uThtā jo tū mukar jaatā
'munīr' fazl jo kartā musabbab-ul-asbāb
maiñ karbalā-e-mualla meñ jald gar jaatā
tumhaare ghar se pas-e-marg kis ke ghar jata
batao aap se jata to main kidhar jata
nahin hai koi bhi sathi tumhaare mujrim ka
pukar uThte sab aaza jo main mukar jata
ajal ke bhes mein meri talash kar lete
wo aap DhunD ke KHud late mein jidhar jata
takallufat-e-mohabbat ne qaid kar rakkha
har ek samt thi diwar main kidhar jata
kabhi na samne aata zalil kahla kar
jo wo bulate to main apne nam par jata
bhala chhupae se chhupta lahu shahidon ka
ye KHun bol hi uThta jo tu mukar jata
'munir' fazl jo karta musabbab-ul-asbab
main karbala-e-mualla mein jald gar jata
- Book : Intekhab-e-Kalam Muneer Shikohabadi (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.