tumhaare hijr ki tafsir ho gae hum log
tumhāre hijr kī tafsīr ho ga.e ham log
jo miT na paa.e to tahrīr ho ga.e ham log
vo jis ne ham ko tasallī se pā.emāl kiyā
usī ke paañv kī zanjīr ho ga.e ham log
tumheñ jo sochā to rashk aayā zindagī pe hameñ
tumheñ jo dekhā to tasvīr ho ga.e ham log
hamāre ḳhvāb kī ta.abīr mil na paa.ī to phir
tumhāre ḳhvāb kī ta.abīr ho ga.e ham log
jab apne aap meñ ḳhūbī koī dikhā.ī na dī
to apne aiboñ kī tash.hīr ho ga.e ham log
tumhaare hijr ki tafsir ho gae hum log
jo miT na pae to tahrir ho gae hum log
wo jis ne hum ko tasalli se paemal kiya
usi ke panw ki zanjir ho gae hum log
tumhein jo socha to rashk aaya zindagi pe hamein
tumhein jo dekha to taswir ho gae hum log
hamare KHwab ki tabir mil na pai to phir
tumhaare KHwab ki tabir ho gae hum log
jab apne aap mein KHubi koi dikhai na di
to apne aibon ki tashhir ho gae hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.