tumhaare hijr mein dam bhar hamein qarar nahin
tumhāre hijr meñ dam bhar hameñ qarār nahīñ
vo ġham uThā.e haiñ jin kā koī shumār nahīñ
ye sun rahe haiñ ki tum ne bhulā diyā ham ko
magar tumhārī qasam ham ko e'tibār nahīñ
agar ye sach hai ki ulfat hai tum ko ġhairoñ se
to ham se aa ke ye kah do ki tum se pyaar nahīñ
tumhaare hijr mein dam bhar hamein qarar nahin
wo gham uThae hain jin ka koi shumar nahin
ye sun rahe hain ki tum ne bhula diya hum ko
magar tumhaari qasam hum ko e'tibar nahin
agar ye sach hai ki ulfat hai tum ko ghairon se
to hum se aa ke ye kah do ki tum se pyar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.