tumhaare husn ka charcha bahut hai
tumhāre husn kā charchā bahut hai
sañbhal jaao sanam dhokā bahut hai
vo apnī dhun meñ rahtā hai magar kyoñ
usī se mujh ko andesha bahut hai
ḳhizāñ ho yā bahāroñ kā ho mausam
vo mujh ko yaad sā aatā bahut hai
usī se hai ye rang-o-bū ye hastī
in āñkhoñ ne jise sochā bahut hai
chalo jā kar use bahlā.eñ 'sājid'
vo shāyad āj-kal tanhā bahut hai
tumhaare husn ka charcha bahut hai
sanbhal jao sanam dhoka bahut hai
wo apni dhun mein rahta hai magar kyon
usi se mujh ko andesha bahut hai
KHizan ho ya bahaaron ka ho mausam
wo mujh ko yaad sa aata bahut hai
usi se hai ye rang-o-bu ye hasti
in aankhon ne jise socha bahut hai
chalo ja kar use bahlaen 'sajid'
wo shayad aaj-kal tanha bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.