tumhaare husn ko dad-e-jamal di maine
tumhāre husn ko dād-e-jamāl dī maiñ ne
khilā jo phuul tumhārī misāl dī maiñ ne
kashāñ kashāñ mirī manzil pe aa rahā hai koī
kisī ke paañv meñ zanjīr Daal dī maiñ ne
na kajravī kī shikāyat na be-ruḳhī kā gila
jo dil meñ thī vo tavaqqo' nikāl dī maiñ ne
ajiib kashmakash-e-go-mago se guzrā huuñ
chhiḌā jo zikr tirā baat Taal dī maiñ ne
duā.eñ de mujhe sher-o-suḳhan ke sāñche meñ
kahāñ kahāñ tirī tasvīr Dhaal dī maiñ ne
maiñ 'bazm' soz-e-taġhāful se jal bujhā lekin
use na zahmat-e-fikr-o-ḳhayāl dī maiñ ne
tumhaare husn ko dad-e-jamal di main ne
khila jo phul tumhaari misal di main ne
kashan kashan meri manzil pe aa raha hai koi
kisi ke panw mein zanjir Dal di main ne
na kajrawi ki shikayat na be-ruKHi ka gila
jo dil mein thi wo tawaqqo' nikal di main ne
ajib kashmakash-e-go-mago se guzra hun
chhiDa jo zikr tera baat Tal di main ne
duaen de mujhe sher-o-suKHan ke sanche mein
kahan kahan teri taswir Dhaal di main ne
main 'bazm' soz-e-taghaful se jal bujha lekin
use na zahmat-e-fikr-o-KHayal di main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.