tumhaare husn mein ab chand si cham-cham nahin hoti
tumhāre husn meñ ab chāñd sī cham-cham nahīñ hotī
tumhārī pāyaloñ meñ pahle sī chham-chham nahīñ hotī
kabhī bhī dard ke sur meñ hasīñ sargam hai nā-mumkin
kabhī sho'loñ kī zad meñ maḳhmalī shabnam nahīñ hotī
na jaane kitne mujh ko zaḳhm ulfat meñ mile lekin
kisī bhī ranj-o-ġham se aañkh merī nam nahīñ hotī
siyāsī pech-o-ḳham toḌo banā lo desh ko jannat
vijay hāsil kabhī shamshīr se jānam nahīñ hotī
ham un kī yaad ke dīpak jalāte roz haiñ 'mīnā'
hamāre dil meñ un ke pyaar kī lau kam nahīñ hotī
tumhaare husn mein ab chand si cham-cham nahin hoti
tumhaari payalon mein pahle si chham-chham nahin hoti
kabhi bhi dard ke sur mein hasin sargam hai na-mumkin
kabhi sho'lon ki zad mein maKHmali shabnam nahin hoti
na jaane kitne mujh ko zaKHm ulfat mein mile lekin
kisi bhi ranj-o-gham se aankh meri nam nahin hoti
siyasi pech-o-KHam toDo bana lo desh ko jannat
wijay hasil kabhi shamshir se jaanam nahin hoti
hum un ki yaad ke dipak jalate roz hain 'mina'
hamare dil mein un ke pyar ki lau kam nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.