tumhaare ishq ki sine mein chah hote hue
tumhāre ishq kī siine meñ chaah hote hue
maiñ ḳhud ko dekh rahā huuñ tabāh hote hue
tumhāre dil pe muravvat ke teshe rakh rakh kar
maiñ dekhtā huuñ chaTānoñ meñ raah hote hue
hasīn chīzoñ pe lāzim hai ehtiyāt bahut
gulāb dekhe haiñ ham ne siyāh hote hue
ajab hai shahr meñ insāf kī mire devī
gunāhgār hue be-gunāh hote hue
bulandiyoñ pe Thaharne kā fan nahīñ jin ko
faqīr ban ga.e vo log shaah hote hue
hasad ke rog kī zad meñ hai halqa-e-ahbāb
mire uruuj ke do chaar maah hote hue
samajh rahe ho bahut sahl 'dil' mohabbat ko
pasīne chhūT ga.e haiñ nibāh hote hue
tumhaare ishq ki sine mein chah hote hue
main KHud ko dekh raha hun tabah hote hue
tumhaare dil pe murawwat ke teshe rakh rakh kar
main dekhta hun chaTanon mein rah hote hue
hasin chizon pe lazim hai ehtiyat bahut
gulab dekhe hain hum ne siyah hote hue
ajab hai shahr mein insaf ki mere dewi
gunahgar hue be-gunah hote hue
bulandiyon pe Thaharne ka fan nahin jin ko
faqir ban gae wo log shah hote hue
hasad ke rog ki zad mein hai halqa-e-ahbab
mere uruj ke do chaar mah hote hue
samajh rahe ho bahut sahl 'dil' mohabbat ko
pasine chhuT gae hain nibah hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.