tumhaare jism ka saya paDa nahin hoga
tumhāre jism kā saaya paḌā nahīñ hogā
dayār-e-ġham meñ ujālā huā nahīñ hogā
zarā sī baat samajhne meñ ek umr lagī
vo ḳhud-parast hai vo bā-vafā nahīñ hogā
bahut ḳhamosh-nafas thā guzarne vaalā bhī
so us kī maut kā shohra huā nahīñ hogā
tire ḳhayāl kā bādal baras gayā thā vahāñ
so jism-o-jān kā sahrā tapā nahīñ hogā
use yaqīn hai kitnā ki us ke jaane se
koī bhī shaḳhs akelā huā nahīñ hogā
ye ho bhī saktā hai duniyā kā koī mālik ho
magar ye tai hai kitābī ḳhudā nahīñ hogā
jo us ko qatl kiyā us ke chārasāzoñ ne
'junūñ' ke dard kā darmāñ huā nahīñ hogā
tumhaare jism ka saya paDa nahin hoga
dayar-e-gham mein ujala hua nahin hoga
zara si baat samajhne mein ek umr lagi
wo KHud-parast hai wo ba-wafa nahin hoga
bahut KHamosh-nafas tha guzarne wala bhi
so us ki maut ka shohra hua nahin hoga
tere KHayal ka baadal baras gaya tha wahan
so jism-o-jaan ka sahra tapa nahin hoga
use yaqin hai kitna ki us ke jaane se
koi bhi shaKHs akela hua nahin hoga
ye ho bhi sakta hai duniya ka koi malik ho
magar ye tai hai kitabi KHuda nahin hoga
jo us ko qatl kiya us ke chaarasazon ne
'junun' ke dard ka darman hua nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.