tumhaare jism ki KHushbu gulon se aati hai
tumhāre jism kī ḳhushbū guloñ se aatī hai
ḳhabar tumhārī bhī ab dūsroñ se aatī hai
hamīñ akele nahīñ jāgte haiñ rātoñ meñ
use bhī niiñd baḌī mushkiloñ se aatī hai
hamārī āñkhoñ ko mailā to kar diyā hai magar
mohabbatoñ meñ chamak āñsuoñ se aatī hai
isī liye to añdhere hasīn lagte haiñ
ki raat mil ke tire gesuoñ se aatī hai
ye kis maqām pe pahuñchā diyā mohabbat ne
ki terī yaad bhī ab koshishoñ se aatī hai
tumhaare jism ki KHushbu gulon se aati hai
KHabar tumhaari bhi ab dusron se aati hai
hamin akele nahin jagte hain raaton mein
use bhi nind baDi mushkilon se aati hai
hamari aankhon ko maila to kar diya hai magar
mohabbaton mein chamak aansuon se aati hai
isi liye to andhere hasin lagte hain
ki raat mil ke tere gesuon se aati hai
ye kis maqam pe pahuncha diya mohabbat ne
ki teri yaad bhi ab koshishon se aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.