tumhaare KHazane mein kya kuchh nahin
tumhaare KHazane mein kya kuchh nahin
Ved Prakash Malik Sarshar
MORE BYVed Prakash Malik Sarshar
tumhāre ḳhazāne meñ kyā kuchh nahīñ
hamāre muqaddar meñ thā kuchh nahīñ
jise chāhe jo kuchh samajh lījiye
haqīqat meñ achchhā-burā kuchh nahīñ
kahūñ kyā koī sunñe vaalā bhī ho
mere paas kahne ko kyā kuchh nahīñ
merī baat sarkār ne sun to lī
merī baat sun kar kahā kuchh nahīñ
banāne ko kyā kuchh banāyā gayā
magar is se apnā banā kuchh nahīñ
mohabbat meñ ye tajraba ho gayā
mohabbat meñ ġham k sivā kuchh nahīñ
mile un se milne ko sau baar ham
magar un se mil kar milā kuchh nahīñ
jiye jā rahe hai jiye jā rahe
magar zindagī meñ maza kuchh nahīñ
sabhī kuchh sunā kar bhī 'sarshār' ko
vo kahte haiñ ham ne kahā kuchh nahīñ
tumhaare KHazane mein kya kuchh nahin
hamare muqaddar mein tha kuchh nahin
jise chahe jo kuchh samajh lijiye
haqiqat mein achchha-bura kuchh nahin
kahun kya koi sunne wala bhi ho
mere pas kahne ko kya kuchh nahin
meri baat sarkar ne sun to li
meri baat sun kar kaha kuchh nahin
banane ko kya kuchh banaya gaya
magar is se apna bana kuchh nahin
mohabbat mein ye tajraba ho gaya
mohabbat mein gham k siwa kuchh nahin
mile un se milne ko sau bar hum
magar un se mil kar mila kuchh nahin
jiye ja rahe hai jiye ja rahe
magar zindagi mein maza kuchh nahin
sabhi kuchh suna kar bhi 'sarshaar' ko
wo kahte hain hum ne kaha kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.