tumhaare KHwab ki tabir ho jaun ijazat hai
tumhāre ḳhvāb kī ta.abīr ho jā.ūñ ijāzat hai
mohabbat kī maiñ ik tasvīr ho jā.ūñ ijāzat hai
kahīñ jaane na duuñ tum ko agar tum mere ho jaao
tumhāre paañv kī zanjīr ho jā.ūñ ijāzat hai
kisī ke ho ga.e ho tum mujhe shikva nahīñ koī
kisī kī maiñ bhī ab jāgīr ho jā.ūñ ijāzat hai
vo ik tāvīz jo tum ne gale meñ Daal rakkhā hai
maiñ is tāvīz kī tahrīr ho jā.ūñ ijāzat hai
zamāne ke maiñ har ik vaar se tujh ko bachā lūñgī
maiñ tere haath meñ shamshīr ho jā.ūñ ijāzat hai
tujhe ye mo.ajiza bhī maiñ dikhā saktī huuñ duniyā meñ
jo tū chāhe tirī taqdīr ho jā.ūñ ijāzat hai
ḳhudā ne ye karishma chāhatoñ ko sauñp rakkhā hai
maiñ ik pal meñ tirī tauqīr ho jā.ūñ ijāzat hai
tumhaare KHwab ki tabir ho jaun ijazat hai
mohabbat ki main ek taswir ho jaun ijazat hai
kahin jaane na dun tum ko agar tum mere ho jao
tumhaare panw ki zanjir ho jaun ijazat hai
kisi ke ho gae ho tum mujhe shikwa nahin koi
kisi ki main bhi ab jagir ho jaun ijazat hai
wo ek tawiz jo tum ne gale mein Dal rakkha hai
main is tawiz ki tahrir ho jaun ijazat hai
zamane ke main har ek war se tujh ko bacha lungi
main tere hath mein shamshir ho jaun ijazat hai
tujhe ye moajiza bhi main dikha sakti hun duniya mein
jo tu chahe teri taqdir ho jaun ijazat hai
KHuda ne ye karishma chahaton ko saunp rakkha hai
main ek pal mein teri tauqir ho jaun ijazat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.