tumhaare lab pe mera nam KHwab lagta hai
tumhāre lab pe merā naam ḳhvāb lagtā hai
magar ye lamha baḌā kāmyāb lagtā hai
maiñ apne yaar kī tāb-o-tapish batā.ūñ kyā
zamīñ pe utrā huā āftāb lagtā hai
mahak to hai hī nahīñ rang bhī ubūrī haiñ
vo dekhne meñ sabhī ko gulāb lagtā hai
bhale ke kaam to ham karte rahte haiñ lekin
na jaane kisī ko hamārā savāb lagtā hai
tū chāhtā hai ki ākāsh aa.e dhartī par
tirā savāl mujhe lā-javāb lagtā hai
vo rāhbar hai vahī rāsta dikhā.egā
bhaTakte rahnā hameñ bhī ḳharāb lagtā hai
maiñ us ko sūrat-e-ḳhargāh-o-ḳhema huuñ 'ulfat'
mirā sanam mujhe misl-e-tanāb lagtā hai
tumhaare lab pe mera nam KHwab lagta hai
magar ye lamha baDa kaamyab lagta hai
main apne yar ki tab-o-tapish bataun kya
zamin pe utra hua aaftab lagta hai
mahak to hai hi nahin rang bhi uburi hain
wo dekhne mein sabhi ko gulab lagta hai
bhale ke kaam to hum karte rahte hain lekin
na jaane kisi ko hamara sawab lagta hai
tu chahta hai ki aakash aae dharti par
tera sawal mujhe la-jawab lagta hai
wo rahbar hai wahi rasta dikhaega
bhaTakte rahna hamein bhi KHarab lagta hai
main us ko surat-e-KHargah-o-KHema hun 'ulfat'
mera sanam mujhe misl-e-tanab lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.