tumhaare mai-kade mein jab qadam rakh denge diwane
tumhaare mai-kade mein jab qadam rakh denge diwane
Ghulam Dastageer Sharar
MORE BYGhulam Dastageer Sharar
tumhāre mai-kade meñ jab qadam rakh deñge dīvāne
surāhī kaañp jā.egī laraz jā.eñge paimāne
vo sham.a jis ko ehsās-e-mohabbat tak nahīñ hotā
ḳhudā jaane usī par kyoñ mare jaate haiñ parvāne
tire muhtāj koī aur hoñge ham nahīñ saaqī
jahāñ ham haiñ vahāñ ḳhud khiñch ke aa jaate haiñ paimāne
mire do chaar tinkoñ ne rakhī hai laaj gulshan kī
vagarna barq jaatī kis ke aage haath phailāne
agar ḳhāmosh rahte haiñ vafā badnām hotī hai
jo kahte haiñ to apne raaz ho jaate haiñ begāne
bure pahchāne jaate haiñ phaloñ ke saath hī aksar
chaman meñ hoñ na gar kāñTe guloñ ko kaun pahchāne
ye duniyā chand roza hai sharar kuchh kaam hī kar lo
ye din āḳhir guzar jā.eñge rah jā.eñge afsāne
tumhaare mai-kade mein jab qadam rakh denge diwane
surahi kanp jaegi laraz jaenge paimane
wo shama jis ko ehsas-e-mohabbat tak nahin hota
KHuda jaane usi par kyon mare jate hain parwane
tere muhtaj koi aur honge hum nahin saqi
jahan hum hain wahan KHud khinch ke aa jate hain paimane
mere do chaar tinkon ne rakhi hai laj gulshan ki
wagarna barq jati kis ke aage hath phailane
agar KHamosh rahte hain wafa badnam hoti hai
jo kahte hain to apne raaz ho jate hain begane
bure pahchane jate hain phalon ke sath hi aksar
chaman mein hon na gar kanTe gulon ko kaun pahchane
ye duniya chand roza hai sharar kuchh kaam hi kar lo
ye din aaKHir guzar jaenge rah jaenge afsane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.