tumhaare nam ka sikka uchhaal sakta hun
tumhāre naam kā sikka uchhāl saktā huuñ
tumheñ salīqe se maiñ dekh-bhāl saktā huuñ
abhī to sirf bigāḌā hai terī 'ādat ko
maiñ tujh ko ḳhud meñ abhī aur Dhaal saktā huuñ
jo terī zaat se mujh ko mile haiñ ai jānāñ
maiñ un ġhamoñ ko kaleje meñ paal saktā huuñ
mire ḳhudā kī ḳhudā.ī agar navāz de to
samundaroñ meñ bhī rastā nikāl saktā huuñ
maiñ apne 'ahd kā jugnū huuñ dekhnā ik din
baḌe baḌoñ ko maiñ hairat meñ Daal saktā huuñ
agar mile jo ġham-e-rozgār se fursat
to maiñ bhī zehn kā dariyā khañgāl saktā huuñ
paḌegī dhuup jo tum par to abr ban kar ke
tumhāre sar se maiñ sūraj ko Taal saktā huuñ
tumhaare nam ka sikka uchhaal sakta hun
tumhein saliqe se main dekh-bhaal sakta hun
abhi to sirf bigaDa hai teri 'adat ko
main tujh ko KHud mein abhi aur Dhaal sakta hun
jo teri zat se mujh ko mile hain ai jaanan
main un ghamon ko kaleje mein pal sakta hun
mere KHuda ki KHudai agar nawaz de to
samundaron mein bhi rasta nikal sakta hun
main apne 'ahd ka jugnu hun dekhna ek din
baDe baDon ko main hairat mein Dal sakta hun
agar mile jo gham-e-rozgar se fursat
to main bhi zehn ka dariya khangal sakta hun
paDegi dhup jo tum par to abr ban kar ke
tumhaare sar se main suraj ko Tal sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.