tumhaare nam par dariya banega
tumhāre naam par dariyā banegā
ye chehra baa'd meñ sahrā banegā
nikalnā paḌ rahā hai jaise ghar se
hamārī qabr par rasta banegā
jabīñ mehrāb se aage kī soche
zamīñ par tab koī sajda banegā
vo jis kone meñ qaidī ro rahā hai
vahāñ ik roz darvāza banegā
tumheñ apnā banā kar sochtā huuñ
muqaddar ab tumhārā kyā banegā
jalā kar raakh kar Dālegā sūraj
yahāñ jis jis kā bhī saaya banegā
tumhaare nam par dariya banega
ye chehra ba'd mein sahra banega
nikalna paD raha hai jaise ghar se
hamari qabr par rasta banega
jabin mehrab se aage ki soche
zamin par tab koi sajda banega
wo jis kone mein qaidi ro raha hai
wahan ek roz darwaza banega
tumhein apna bana kar sochta hun
muqaddar ab tumhaara kya banega
jala kar rakh kar Dalega suraj
yahan jis jis ka bhi saya banega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.