tumhaare pas ek wahshi ne ye paigham bheja hai
tumhaare pas ek wahshi ne ye paigham bheja hai
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
tumhāre paas ik vahshī ne ye paiġhām bhejā hai
ki ab hijrāñ-nashīboñ ko bhulā denā hī achchhā hai
junūñ meñ yuuñ to kuchh apnī ḳhabar miltī nahīñ ham ko
ki aisā naam hai jis par abhī tak dil dhaḌaktā hai
ye maanā saḳht hai ye vādi-e-ġhurbat kī tanhā.ī
mujhe rahne de ai hamdam yahīñ ab jī bahaltā hai
dil-e-nādāñ ko raas aa.ī tumhārī kaj-adā.ī bhī
tumhārī bevafā.ī meñ bhī ik aalam nikaltā hai
yaqīñ aa kar dilāte haiñ mujhe ye qāfile vaale
zarā kuchh aur aage kūcha-e-jānāñ kā rastā hai
tumhaare pas ek wahshi ne ye paigham bheja hai
ki ab hijran-nashibon ko bhula dena hi achchha hai
junun mein yun to kuchh apni KHabar milti nahin hum ko
ki aisa nam hai jis par abhi tak dil dhaDakta hai
ye mana saKHt hai ye wadi-e-ghurbat ki tanhai
mujhe rahne de ai hamdam yahin ab ji bahalta hai
dil-e-nadan ko ras aai tumhaari kaj-adai bhi
tumhaari bewafai mein bhi ek aalam nikalta hai
yaqin aa kar dilate hain mujhe ye qafile wale
zara kuchh aur aage kucha-e-jaanan ka rasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.