tumhaare pahlu mein zindagi ne jo sans li thi wo mar chuki hai
tumhaare pahlu mein zindagi ne jo sans li thi wo mar chuki hai
Jabbar Wasif
MORE BYJabbar Wasif
tumhāre pahlū meñ zindagī ne jo saañs lī thī vo mar chukī hai
jo dasht meñ merī ham-safar thī vo ret āñkhoñ meñ bhar chukī hai
'ajab ravayya hai jangaloñ kā 'ajab ravish hai shikāriyoñ kī
Thumak Thumak kar havā jo chaltī thī ban meñ ab vo bhī Dar chukī hai
vo kis sitāre kī justujū meñ hazār rātoñ se jāgte haiñ
koī to batlā.e rāhiboñ ko shab-e-sitāra guzar chukī hai
maiñ kahkashāoñ kā ham-safar huuñ maiñ chāñd tāroñ kā rāhbar huuñ
mire taḳhayyul kī tashtarī to mirīḳh par bhī utar chukī hai
anaaj lekar du'ā.eñ dene ab aa rahe ho faqīr baabā
hamārī bastī jab apnā māl-o-manāl paanī pe dhar chukī hai
jo barbariyyat ke murtakib haiñ zamīñ pe ab bhī vo mohtasib haiñ
ḳhudā ke aage falak pe ḳhilqat kī aah mātam bhī kar chukī hai
zamīn-zāde zamīn-zādoñ pe aap hī qahr Dah rahe haiñ
hayāt insāñ kī is liye to ujaḌ chukī hai bikhar chukī hai
na sabr se jabr hārtā hai na ḳhair detī hai maat shar ko
samīm jitne haiñ dar-ba-dar haiñ badoñ kī duniyā sañvar chukī hai
maiñ kyā batā.ūñ ki kaisā mard-e-‘amal hai madfan meñ dafn 'vāsif'
lahad ke ruḳh par vo dekh mayyat kī apnī sūrat ubhar chukī hai
tumhaare pahlu mein zindagi ne jo sans li thi wo mar chuki hai
jo dasht mein meri ham-safar thi wo ret aankhon mein bhar chuki hai
'ajab rawayya hai jangalon ka 'ajab rawish hai shikariyon ki
Thumak Thumak kar hawa jo chalti thi ban mein ab wo bhi Dar chuki hai
wo kis sitare ki justuju mein hazar raaton se jagte hain
koi to batlae rahibon ko shab-e-sitara guzar chuki hai
main kahkashaon ka ham-safar hun main chand taron ka rahbar hun
mere taKHayyul ki tashtari to miriKH par bhi utar chuki hai
anaj lekar du'aen dene ab aa rahe ho faqir baba
hamari basti jab apna mal-o-manal pani pe dhar chuki hai
jo barbariyyat ke murtakib hain zamin pe ab bhi wo mohtasib hain
KHuda ke aage falak pe KHilqat ki aah matam bhi kar chuki hai
zamin-zade zamin-zadon pe aap hi qahr Dah rahe hain
hayat insan ki is liye to ujaD chuki hai bikhar chuki hai
na sabr se jabr haarta hai na KHair deti hai mat shar ko
samim jitne hain dar-ba-dar hain badon ki duniya sanwar chuki hai
main kya bataun ki kaisa mard-e-‘amal hai madfan mein dafn 'wasif'
lahad ke ruKH par wo dekh mayyat ki apni surat ubhar chuki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.