tumhaare raste se haT gae hain
tumhāre raste se haT ga.e haiñ
ham apnī jānib palaT ga.e haiñ
vo jin kī shāḳhoñ pe jhūlte the
shajar vo gaañv ke kaT ga.e haiñ
sabhī kā qibla to ek hai par
ye log firqoñ meñ baT ga.e haiñ
huā hai kis se gunāh bādal
baġhair barse hī chhaT ga.e haiñ
ye kaisī vahshat hai log 'shāfī'
gharoñ meñ apne simaT ga.e haiñ
tumhaare raste se haT gae hain
hum apni jaanib palaT gae hain
wo jin ki shaKHon pe jhulte the
shajar wo ganw ke kaT gae hain
sabhi ka qibla to ek hai par
ye log firqon mein baT gae hain
hua hai kis se gunah baadal
baghair barse hi chhaT gae hain
ye kaisi wahshat hai log 'shafi'
gharon mein apne simaT gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.