tumhaare samne Thahrega mahtab kahan
tumhāre sāmne Thahregā māhtāb kahāñ
hasīñ tumhārī tarah se ye be-hisāb kahāñ
hamāre dil kī umañgoñ kā haal mat pūchho
ab aisā bahr kī maujoñ meñ iztirāb kahāñ
nigāh bhar ke tumheñ dekhne kī hasrat hai
magar hamārī nigāhoñ meñ itnī taab kahāñ
jo ālā-zarf haiñ vo ḳhāksār haiñ saare
guhar mile the ye dariyā magar habāb kahāñ
zarā sī pī ke bahakne kī hai sazā shāyad
jo sirf aañkh chhalaktī hai ab sharāb kahāñ
ziyā se jis kī koī zarra faizyāb nahīñ
vo āftāb kā dhokā hai āftāb kahāñ
kisī pe uñglī uThā.ī to ye ḳhayāl aayā
hamāre jaisā jahāñ meñ koī ḳharāb kahāñ
jo āsmān se utrī hai vo kitāb ho tum
tumhāre jaisī jahāñ meñ koī kitāb kahāñ
hamāre ghar kī hī qismat buland thī shāyad
vagarna aap kahāñ aur hamārā baab kahāñ
'suman' nasīb se vo mujh ko mil ga.e varna
hasīn itnā abhī merā intiḳhāb kahāñ
tumhaare samne Thahrega mahtab kahan
hasin tumhaari tarah se ye be-hisab kahan
hamare dil ki umangon ka haal mat puchho
ab aisa bahr ki maujon mein iztirab kahan
nigah bhar ke tumhein dekhne ki hasrat hai
magar hamari nigahon mein itni tab kahan
jo aala-zarf hain wo KHaksar hain sare
guhar mile the ye dariya magar habab kahan
zara si pi ke bahakne ki hai saza shayad
jo sirf aankh chhalakti hai ab sharab kahan
ziya se jis ki koi zarra faizyab nahin
wo aaftab ka dhoka hai aaftab kahan
kisi pe ungli uThai to ye KHayal aaya
hamare jaisa jahan mein koi KHarab kahan
jo aasman se utri hai wo kitab ho tum
tumhaare jaisi jahan mein koi kitab kahan
hamare ghar ki hi qismat buland thi shayad
wagarna aap kahan aur hamara bab kahan
'suman' nasib se wo mujh ko mil gae warna
hasin itna abhi mera intiKHab kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.