tumhaare sath jo lamhat the guzare hue
tumhāre saath jo lamhāt the guzāre hue
tumhāre baad vahī ziist ke sahāre hue
zabāñ pe zañg jo dekhā to ye samajh aaya
zamāne ho ga.e jaise use pukāre hue
hamāre baad hameñ DhūñDte phireñge log
hamāre baad kaheñge baḌe ḳhasāre hue
aḳhīr shaam thī jab donoñ paas baiThe the
ajiib shakl thī donoñ kī jaise haare hue
qadam qadam pe mileñge tumheñ lahū ke nishāñ
hamāre ishq ke ye bhī to isti.āre hue
maiñ apnī zaat kī tārīkiyoñ meñ jab gum thā
tab us kī yaad ke raushan sabhī sitāre hue
tumhaare sath jo lamhat the guzare hue
tumhaare baad wahi zist ke sahaare hue
zaban pe zang jo dekha to ye samajh aaya
zamane ho gae jaise use pukare hue
hamare baad hamein DhunDte phirenge log
hamare baad kahenge baDe KHasare hue
aKHir sham thi jab donon pas baiThe the
ajib shakl thi donon ki jaise haare hue
qadam qadam pe milenge tumhein lahu ke nishan
hamare ishq ke ye bhi to istiare hue
main apni zat ki tarikiyon mein jab gum tha
tab us ki yaad ke raushan sabhi sitare hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.