tumhaare sath ye qissa kabhi kabhaar ka hai
tumhāre saath ye qissa kabhī kabhār kā hai
magar ye hijr mire saath bār-bār kā hai
hamāre darmiyāñ ik shak kī film hai jis meñ
kahīñ kahīñ pe koī scene e'tibār kā hai
ye terī ham pe ināyat hai yā chaman meñ kisī
ḳhizāñ-nasīb ke hisse meñ sukh bahār kā hai
agar tū ḳhud ko khulā chhoḌtā hai jān-e-bahār
to tujh pe haq tire pahle umīd-vār kā hai
ye terā jism hai yā rahguzār-e-gul hai koī
qabā kā band hai yā peḌ regzār kā hai
maiñ dil ke baare meñ itnā hī jaan paayā huuñ
kabhī ye ek kā hotā thā ab hazār kā hai
tumhaare sath ye qissa kabhi kabhaar ka hai
magar ye hijr mere sath bar-bar ka hai
hamare darmiyan ek shak ki film hai jis mein
kahin kahin pe koi scene e'tibar ka hai
ye teri hum pe inayat hai ya chaman mein kisi
KHizan-nasib ke hisse mein sukh bahaar ka hai
agar tu KHud ko khula chhoDta hai jaan-e-bahaar
to tujh pe haq tere pahle umid-war ka hai
ye tera jism hai ya rahguzar-e-gul hai koi
qaba ka band hai ya peD regzar ka hai
main dil ke bare mein itna hi jaan paya hun
kabhi ye ek ka hota tha ab hazar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.