Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare shahr mein tha bhi to ek musafir main

Zafar Zaidi

tumhaare shahr mein tha bhi to ek musafir main

Zafar Zaidi

MORE BYZafar Zaidi

    tumhāre shahr meñ thā bhī to ik musāfir maiñ

    so thak ke baiTh gayā rāste meñ āḳhir maiñ

    maiñ har lihāz se sairāb thā ḳhudā qasam

    ye aur baat ki pyāsā rahā ba-zāhir maiñ

    hurūf milte āvāz Duub jaatī hai

    jo chup rahūñ na batāo to kyā karūñ phir maiñ

    kisī bhī samt bhaTaktā phirūñ yamīn-o-yasār

    talāsh raah karūñ bhī to kis ḳhātir maiñ

    mirī ḳhushī ko yahī rabt bāhamī hai bahut

    mirā muġhannī hai vo aur us shā'ir maiñ

    ye khel ḳhatm banā hār-jīt ke hogā

    ki jis hunar meñ vo yaktā usī meñ māhir maiñ

    hazār bāñdhā gayā mujh pe ā.inoñ hisār

    kisī pe apne 'alāva huā na zāhir maiñ

    tumhaare shahr mein tha bhi to ek musafir main

    so thak ke baiTh gaya raste mein aaKHir main

    main har lihaz se sairab tha KHuda ki qasam

    ye aur baat ki pyasa raha ba-zahir main

    huruf milte hi aawaz Dub jati hai

    jo chup rahun na batao to kya karun phir main

    kisi bhi samt bhaTakta phirun yamin-o-yasar

    talash rah karun bhi to kis ki KHatir main

    meri KHushi ko yahi rabt bahami hai bahut

    mera mughanni hai wo aur us ka sha'ir main

    ye khel KHatm bana haar-jit ke hoga

    ki jis hunar mein wo yakta usi mein mahir main

    hazar bandha gaya mujh pe aainon ka hisar

    kisi pe apne 'alawa hua na zahir main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now