tumhaare shahr mein dekhun to kya nahin milta
tumhāre shahr meñ dekhūñ to kyā nahīñ miltā
bas apne ghar ke liye rāsta nahīñ miltā
uruuj par hai na.e mausamoñ kā jāh-o-jalāl
shajar pe koī bhī patta harā nahīñ miltā
abhī abhī koī āñdhī idhar se guzrī hai
rah-e-hayāt mujhe naqsh-e-pā nahīñ miltā
bichhaḌ ke tujh se tabī.at uchāT rahtī hai
ḳhud apne ghar meñ bhī ghar kā mazā nahīñ miltā
tumheñ bhī roz kahānī vahī sunānī hai
mujhe bhī ḳhvāb koī dūsrā nahīñ miltā
matā-e-barg-o-samar bhī luTā chuke ashjār
kisī tarah bhī mizāj-e-havā nahīñ miltā
maiñ kis tarah se 'zafar' mas.aloñ ko suljhā.ūñ
kisī bhī baat kā koī sirā nahīñ miltā
tumhaare shahr mein dekhun to kya nahin milta
bas apne ghar ke liye rasta nahin milta
uruj par hai nae mausamon ka jah-o-jalal
shajar pe koi bhi patta hara nahin milta
abhi abhi koi aandhi idhar se guzri hai
rah-e-hayat mujhe naqsh-e-pa nahin milta
bichhaD ke tujh se tabiat uchaT rahti hai
KHud apne ghar mein bhi ghar ka maza nahin milta
tumhein bhi roz kahani wahi sunani hai
mujhe bhi KHwab koi dusra nahin milta
mata-e-barg-o-samar bhi luTa chuke ashjar
kisi tarah bhi mizaj-e-hawa nahin milta
main kis tarah se 'zafar' masalon ko suljhaun
kisi bhi baat ka koi sira nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.