tumhaare shahr mein jaane kahan se utra tha
tumhāre shahr meñ jaane kahāñ se utrā thā
ki un dinoñ bhī koī us ke dil meñ bastā thā
maiñ jān-būjh ke hone ko aaya thā nīlām
kisī ne tum ko bhī bolī lagāte dekhā thā
ye hādisa thā ki īmān maiñ bhī le aaya
ye sāneha hai ki maiñ ne tumhīñ ko puujā thā
churā ke le gayā merā sukūn merā qarār
vo barsoñ saath mire ghar meñ mere rahtā thā
balā se chhīn ke le jaa.e zindagī merī
maiñ mutma.in huuñ ki merā bhī koī apnā thā
maiñ is tarah se bikā yuuñ luTā phir aisā huā
vo apnī totā kahānī sunāne aaya thā
use sadā hī rahā zo'm pārsā.ī kā
agarche us ko darindoñ ne roz nochā thā
maiñ apnī be-sar-o-sāmāniyāñ chhapā.ūñ kyā
vo ham-safar thā mirā jis ne mujh ko luuTā thā
zabāñ se zaḳhm lagāne se baaz aa 'īraj'
ye zaḳhm maanā tujhe baar baar lagtā thā
tumhaare shahr mein jaane kahan se utra tha
ki un dinon bhi koi us ke dil mein basta tha
main jaan-bujh ke hone ko aaya tha nilam
kisi ne tum ko bhi boli lagate dekha tha
ye hadisa tha ki iman main bhi le aaya
ye saneha hai ki main ne tumhin ko puja tha
chura ke le gaya mera sukun mera qarar
wo barson sath mere ghar mein mere rahta tha
bala se chhin ke le jae zindagi meri
main mutmain hun ki mera bhi koi apna tha
main is tarah se bika yun luTa phir aisa hua
wo apni tota kahani sunane aaya tha
use sada hi raha zo'm parsai ka
agarche us ko darindon ne roz nocha tha
main apni be-sar-o-samaniyan chhapaun kya
wo ham-safar tha mera jis ne mujh ko luTa tha
zaban se zaKHm lagane se baz aa 'iraj'
ye zaKHm mana tujhe bar bar lagta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.