tumhaare shahr mein kyon KHamushi hai
tumhāre shahr meñ kyoñ ḳhāmushī hai
yahāñ har aañkh meñ kaisī namī hai
kahīñ se DhūñD kar laao vo lamha
hamārī ziist meñ jis kī kamī hai
tirā ma.asūm lahja kaun bhūle
tirā to bolnā hī sādgī hai
kahīñ sūraj nazar aatā nahīñ hai
hukūmat shahr meñ ab dhuñd kī hai
kisī ko jaan dene par masarrat
kisī ko jaan lene kī ḳhushī hai
judā.ī kā tasavvur saath rakhnā
mohabbat meñ judā.ī lāzmī hai
tumhaare shahr mein kyon KHamushi hai
yahan har aankh mein kaisi nami hai
kahin se DhunD kar lao wo lamha
hamari zist mein jis ki kami hai
tera masum lahja kaun bhule
tera to bolna hi sadgi hai
kahin suraj nazar aata nahin hai
hukumat shahr mein ab dhund ki hai
kisi ko jaan dene par masarrat
kisi ko jaan lene ki KHushi hai
judai ka tasawwur sath rakhna
mohabbat mein judai lazmi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.