tumhaare shahr se aati hui hawa ki qasam
tumhāre shahr se aatī huī havā kī qasam
tamām zaḳhm hare ho ga.e ḳhudā kī qasam
tamām jism mahakne lagā hai apne aap
badan meñ phailī huī 'ishq kī vabā kī qasam
ḳhushāmadoñ se mirā kaam ban gayā lekin
zamīr maar diyā maiñ ne iltijā kī qasam
tumheñ pukār ke ham aaj tak haiñ sharminda
tumhāre kaan se lauTī huī sadā kī qasam
agarche ibn-e-'alī kī maiñ ḳhāk-e-pā bhī nahīñ
magar maiñ pyaas kā dariyā huuñ karbalā kī qasam
maiñ tum ko phone karūñgā na tum mujhe message
tumheñ ġhurūr kī mujh ko mirī anā kī qasam
tumhaare shahr se aati hui hawa ki qasam
tamam zaKHm hare ho gae KHuda ki qasam
tamam jism mahakne laga hai apne aap
badan mein phaili hui 'ishq ki waba ki qasam
KHushamadon se mera kaam ban gaya lekin
zamir mar diya main ne iltija ki qasam
tumhein pukar ke hum aaj tak hain sharminda
tumhaare kan se lauTi hui sada ki qasam
agarche ibn-e-'ali ki main KHak-e-pa bhi nahin
magar main pyas ka dariya hun karbala ki qasam
main tum ko phone karunga na tum mujhe message
tumhein ghurur ki mujh ko meri ana ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.