tumhaare sine mein dil ke jaisa jo ek patthar dhaDak raha hai
tumhaare sine mein dil ke jaisa jo ek patthar dhaDak raha hai
Nasir Amrohvi
MORE BYNasir Amrohvi
tumhāre siine meñ dil ke jaisā jo ek patthar dhaḌak rahā hai
vo ek patthar na jaane kitne diloñ kā markaz banā huā hai
ye chāñd se bhī hasīn-tar hai jo chāñd jaisā chamak rahā hai
firāq kī shab meñ āsmāñ par tumhārā chehrā Tañgā huā hai
dil-e-shikasta ke hausloñ ne har ek manzil ko sar kiyā hai
tumhāre dar tak bhī aan pahuñche par is se aage bhī rāsta hai
saḌak pe baiThe hue qalandar ke sar paḌe haiñ savāl kitne
zamāna us se jo pūchhtā hai vo us ne mujh ko batā diyā hai
tumhārī mahfil meñ aane vaale unhī mohabbat ke dushmanoñ ne
tumhārā merā jo vāqi.a thā use fasāna banā rakhā hai
ḳhulūs-e-yārāñ kī qadr lekin ḳhulūs-e-yārāñ kā fā.eda kyā
maiñ in dilāsoñ kā kyā karūñgā ki dard merā bahut baḌā hai
tumhārī yādoñ ke chaḌhte dariyā ko ḳhushk-sālī se kyā ta.alluq
tumhārī yādoñ kā chaḌhtā dariyā har ek mausam meñ bah rahā hai
tumhaare sine mein dil ke jaisa jo ek patthar dhaDak raha hai
wo ek patthar na jaane kitne dilon ka markaz bana hua hai
ye chand se bhi hasin-tar hai jo chand jaisa chamak raha hai
firaq ki shab mein aasman par tumhaara chehra Tanga hua hai
dil-e-shikasta ke hauslon ne har ek manzil ko sar kiya hai
tumhaare dar tak bhi aan pahunche par is se aage bhi rasta hai
saDak pe baiThe hue qalandar ke sar paDe hain sawal kitne
zamana us se jo puchhta hai wo us ne mujh ko bata diya hai
tumhaari mahfil mein aane wale unhi mohabbat ke dushmanon ne
tumhaara mera jo waqia tha use fasana bana rakha hai
KHulus-e-yaran ki qadr lekin KHulus-e-yaran ka faeda kya
main in dilason ka kya karunga ki dard mera bahut baDa hai
tumhaari yaadon ke chaDhte dariya ko KHushk-sali se kya talluq
tumhaari yaadon ka chaDhta dariya har ek mausam mein bah raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.