tumhaare tanz ka har ek tir zinda hai
tumhāre tanz kā har ek tiir zinda hai
ki khā ke zaḳhm dil-e-be-zamīr zinda hai
mujhe ḳharīdne vaalā ye kah ke lauT gayā
ajiib shaḳhs hai ab tak zamīr-zinda hai
sunā.ī detī hai zanjīr kī sadā aksar
hamārī zaat meñ shāyad asiir zinda hai
hamārā ahd Dhalegā hamāre sheroñ meñ
hamārī soch kī jab tak lakīr zinda hai
uThā ke dekh lo koī ġhazal mirī 'ātish'
har ek fikr mirī be-nazīr zinda hai
tumhaare tanz ka har ek tir zinda hai
ki kha ke zaKHm dil-e-be-zamir zinda hai
mujhe KHaridne wala ye kah ke lauT gaya
ajib shaKHs hai ab tak zamir-zinda hai
sunai deti hai zanjir ki sada aksar
hamari zat mein shayad asir zinda hai
hamara ahd Dhalega hamare sheron mein
hamari soch ki jab tak lakir zinda hai
uTha ke dekh lo koi ghazal meri 'atish'
har ek fikr meri be-nazir zinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.