tumhaare zulm ki miad ghaT bhi sakti hai
tumhāre zulm kī mī.ād ghaT bhī saktī hai
ye mere paañv kī zanjīr kaT bhī saktī hai
jo sach kahā hai to is kī sazā bhī jāntā huuñ
mujhe ḳhabar hai zabāñ merī kaT bhī saktī hai
diloñ ke beach jo duurī hai us ko ḳhatm kareñ
ye sarhadoñ kī rukāvaT to haT bhī saktī hai
mujhe shikast nazar aa rahī hai ḳhud apnī
magar yaqīn hai baazī palaT bhī saktī hai
mirī nazar ko na āmāda-e-nazāra kar
mirī nazar tire ruḳh se lipaT bhī saktī hai
tumhaare zulm ki miad ghaT bhi sakti hai
ye mere panw ki zanjir kaT bhi sakti hai
jo sach kaha hai to is ki saza bhi jaanta hun
mujhe KHabar hai zaban meri kaT bhi sakti hai
dilon ke beach jo duri hai us ko KHatm karen
ye sarhadon ki rukawaT to haT bhi sakti hai
mujhe shikast nazar aa rahi hai KHud apni
magar yaqin hai bazi palaT bhi sakti hai
meri nazar ko na aamada-e-nazara kar
meri nazar tere ruKH se lipaT bhi sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.