tumhaari aankh mein pani nahin hai
tumhārī aañkh meñ paanī nahīñ hai
ye ḳhud-ġharzī hai nādānī nahīñ hai
kisī bhī vaqt mil sakte ho ham se
hamāre dar pe darbānī nahīñ hai
tumheñ apnī vafā par faḳhr hai to
hamārā dil bhī sailānī nahīñ hai
'abas hī hai ye ārā.ish tumhārī
agar chehre meñ tābānī nahīñ hai
sabhī haiñ rang se vāqif hamāre
hamārī fikr begānī nahīñ hai
tumhaari aankh mein pani nahin hai
ye KHud-gharzi hai nadani nahin hai
kisi bhi waqt mil sakte ho hum se
hamare dar pe darbani nahin hai
tumhein apni wafa par faKHr hai to
hamara dil bhi sailani nahin hai
'abas hi hai ye aaraish tumhaari
agar chehre mein tabani nahin hai
sabhi hain rang se waqif hamare
hamari fikr begani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.