tumhaari aankhon ki chemistry ko samjhunga
tumhārī āñkhoñ kī chemistry ko samjhūñgā
phir is ke baad kisī raushnī ko samjhūñgā
ye rail-gāḌī nahīñ hijr kā ishāra hai
maiñ is kī kuuk se afsurdagī ko samjhūñgā
nikāl lā.ūñgā zeno se ishq kī mantiq
arastū paḌhte hue shā.erī ko samjhūñgā
rakhūñgā sāmne val-asr kī ibārat ko
maiñ kā.enāt kī be-chehragī ko samjhūñgā
maiñ apne baap kī ummīd kā sitāra huuñ
so apne farz kī ḳhush-qāmatī ko samjhūñgā
talāzumātī havāloñ pe kaam kar rahā huuñ
tumhāre jism se bālīdgī ko samjhūñgā
tumhaari aankhon ki chemistry ko samjhunga
phir is ke baad kisi raushni ko samjhunga
ye rail-gaDi nahin hijr ka ishaara hai
main is ki kuk se afsurdagi ko samjhunga
nikal launga zeno se ishq ki mantiq
arastu paDhte hue shaeri ko samjhunga
rakhunga samne wal-asr ki ibarat ko
main kaenat ki be-chehragi ko samjhunga
main apne bap ki ummid ka sitara hun
so apne farz ki KHush-qamati ko samjhunga
talazumati hawalon pe kaam kar raha hun
tumhaare jism se baalidgi ko samjhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.